Monday, March 31, 2014

Amir Jamal - Kaho Na Kaho







Kaho na kaho yeh aankhen bolti hain 
O sanam o sanam, o mere sanam 
Mohabbat ke safar mein yeh sahaara hai 
Vafa ke saahilon ka yeh kinaara hai

Baadalon se oonchi uraanoon ki 
Sab se alag pehechaanoon ki 
Use hai pyaar ki kahaani mansoob 
Aati jaati saanson ki rawaani mansoob

Kamalli ma'aa wala hatta' baidi'am 
Niki aldi hawa kamalli ma'aa 
Kamalli b'ali uffal di walaa bansaa' 
Kamalli waa hishmillah hataa banu wayyaa 

Kaho na kaho yeh aankhen bolti hain 
O sanam o sanam, o mere sanam 
Mohabbat ke safar mein tu hamaara hai 
Andhere raaston ka tu sitaara hai 

Kamalli habibi mah'ta dilai 
I'layya 'anayya bindaa 'ilai 
Wila'ha walayla kulli ku 
Yakuniya habibi mahta dillai 

Tu hi jeene ka sahaara hai 
Meri maujon ka kinaara hai 
Mere liye yeh jahaan hai tu 
Tujhe mere dil ne pukaara hai 

Kaho na kaho yeh saansein bolti hain 
O sanam o sanam, o mere sanam 
Labon pe naam tere bas hamaara hai 
Yeh tera dil bhi jaana hamaara hai 

(Kaho na kaho yeh aankhen bolti hain 
O sanam o sanam, o mere sanam 
Mohabbat ke safar mein yeh sahaara hai 
Vafa ke saahilon ka yeh kinaara hai 

Khwaabon mein tujhko sanwaara hai 
Jazbon mein apne utaara hai 
Meri yeh aankhen jidhar dekhe 
Tera hi chehra nazaara hai




No comments:

Post a Comment